breathless lyrics shankar mahadevan in English | Javed Akhtar

breathless lyrics shankar mahadevan

breathless lyrics Shankar Mahadevan this song from Album “ Breathless” Beautifully shot in picturesque locations, breathless lyrics Shankar Mahadevan Right for this video and lyrics are provided by Studio Saregama Music. The song is sung by Shankar Mahadevan and Lyrics are penned by Javed Akhtar.

breathless lyrics shankar mahadevan

Song credits

Singer: Shankar Mahadevan
Lyrics: Shankar Mahadevan / Javed Akhtar

breathless lyrics shankar mahadevan

Koi jo mila to mujhe aisa lagta tha
Jaise meri saari duniya mai geeto ki rut
Aur rango ki barkha hai khushbu ki aandhi hai
Mehki hui si ab saari fizaaye hai
Behki hui si ab saari hawaaye hai
Khoyi hui si ab saari disaayen hai
Badli hui se ab saari adaayen hai
Jaagi ummenge hai, dhadak raha ahi dil
Sanson mai toofaa hai, hoton pe nagme hai
Aakhon mai sapne hai, sapnon mai beete hue
Saare wo lamhe hai
Jab koi aaya tha, nazron pe chhaya tha
Dil mai samaya tha, kaise mai bataun tumhe
Kaise use paaya tha, pyaari se chehre pe bikhri jo julphen
To aisa lagta tha jaise kohre ke pichhe
Ek os mai dhula hua phool khila hai jaise
Badal mai ik chaand chhupa hai
Aur jhaank raha hai jaise raat ke parde mai
Ek sabera hai roshan roshan aakhon mai
Sapno ka saagar jismai prem sitaro ki chaadar
Jaise jhalak rahi hai
Lahron lahron baat kare to jaise moti barse
Jaise kahin chandi ki payal goonjey
Jaise kahin sheeshe ke jaam girey
Aur chhann se tootey jaise koi chhip ke sitaar bajaye
Jaise koi chaandni raat mai gaye
Jaise koi hole se paas bulaye
Kaisi meethi baatain thee vo
Kaisi mulakaatein thee vo
Jab maine jaana tha
Nazron se kaise pighalte hai dil
Aur aarzoo paati hai kaise manzil
Aur kaise utarta hai chaand jameen par
Kaise kabhi lagta hai swarg agar hai
To bas hai yahin par
Usne bulaya mujhe, aur samjhaya mujhe
Hum jo mile hai, hamai aise hi milna tha
Gul jo khile hai, unhe aise hi khilna tha
Janmo ke bandhan, janmo ke rishtey hai
Jab bhi hum janme to hum yuhin milte hai
Kaanon mai mere jaise, shahed sa ghulne lage
Khwaabon ke dar jaise aakhon mai khulne lage
Khwaabon ki duniya bhi kitni haseen aur
Kaisi rangeen thee khwaabon ki duniya
Jo kahne ko thee par kahin bhi nahi thee
Khwaab jo toote mere, aakh jo khuli meri
Hosh jo aaya mujhe
Maine dekha maine jaana
Vo jo kabhi aaya tha, nazron pe chhaya tha
Dil mai samaya tha, ja bhi chuka hai
Aur dil mera hai ab tanha tanha
Na to koi armaan hai, na koi tamanna hai
Aur na koi sapna hai
Ab jo mere din aur ab jo meri ratain hai
Unmain sirf aansoon hai
Unmain seif dard ki ranj ki batain hai
Aur pharyaadein hai
Mera ab bhi koi nahi mai hoon aur khoye
Hue pyaar ki yaadein hai
Mera ab bhi koi nahi mai hoon aur khoye
Hue pyaar ki yaadein hai
Mera ab bhi koi nahi mai hoon aur khoye
Hue pyaar ki yaadein hai

You may like this also: Emraan Hashmi | beete lamhe lyrics |The Train | K K